palkoñ  ko  terī  sharm  se  jhuktā  huā  maiñ  dekhūñ
dhaḌkan  ko  apne  dil  kī  ruktā  huā  maiñ  dekhūñ
piine  kā  shauq  mujh  ko  hargiz  nahīñ  hai  magar
qadmoñ  ko  mai-kade  pe  ruktā  huā  maiñ  dekhūñ
yā-rab  karam  kī  bārish  ik  baar  aisī  kar  de
har  phuul  ko  chaman  meñ  hañstā  huā  maiñ  dekhūñ
jab  bhī  uTheñ  duā  kī  ḳhātir  ye  haath  mere
āñkhoñ  ko  āñsuoñ  se  bhartā  huā  maiñ  dekhūñ
'tauqīr'  mere  rab  kā  kitnā  karam  hai  mujh  pe
ḳhushiyoñ  ko  sañg  apne  chaltā  huā  maiñ  dekhūñ