rahūñ  is  meñ  har  dam  na  ho  aanā  jaanā
terī  zulfeñ  ho  gar  mirā  āshiyānā
mohabbat  kā  aisā  likheñ  ham  fasāna
jise  yaad  rakkhe  ye  saara  zamānā
churā  le  gayā  merī  nīndeñ  bhī  āḳhir
mujhe  dekh  kar  vo  tirā  muskurānā
mire  sher  mujh  ko  haiñ  jaañ  se  aziiz
jise  bhī  sunānā  adab  se  sunānā
ai  'tauqīr'  bachpan  meñ  karte  the  kyā  kyā
chalo  yaad  kar  leñ  vo  guzrā  zamānā