apne  ghar  par  bulā  liyā  us  ne
diip  saare  bujhā  diyā  us  ne
chāñdnī  sī  bikhar  ga.ī  har-sū
ruḳh  se  parda  haTā  diyā  us  ne
kho  gayā  us  kī  mast  āñkhoñ  meñ
aise  nazreñ  milā  liyā  us  ne
rakh  ke  godī  meñ  sar  merā  apnī
dil  kī  dhaḌkan  baḌhā  diyā  us  ne
kyuuñ  na  ho  naaz  apnī  qismat  par
mujh  ko  apnā  banā  liyā  us  ne
vaqt-e-ruḳhsat  namī  thī  āñkhoñ  meñ
haath  phir  bhī  hilā  diyā  us  ne
lauT  kar  ā.ūñgā  maiñ  phir  ek  din
va.ada  mujh  se  karā  liyā  us  ne
gum  hai  'tauqīr'  us  kī  yādoñ  meñ
jām-e-ulfat  pilā  diyā  us  ne