raunaq  hī  nahīñ  us  kī  ham  rūh-o-ravāñ  bhī  haiñ
lekin  hameñ  duniyā  kī  ḳhātir  pe  garāñ  bhī  haiñ
ik  tere  hī  kūche  par  mauqūf  nahīñ  hai  kuchh
har  gaam  haiñ  ta.azīreñ  ham  log  jahāñ  bhī  haiñ
gulchīñ  ko  nahīñ  shāyad  is  raaz  se  āgāhī
shabnam  meñ  nahā.e  gul  sho.aloñ  kī  zabāñ  bhī  haiñ
khāte  the  qasam  jin  ke  kirdār-o-amal  kī  ham
shāmil  saf-e-a.adā  meñ  vo  ham-nafasāñ  bhī  haiñ
sach  kahte  ho  ham  aise  zarroñ  kī  haqīqat  kyā
ab  kaun  kahe  tum  se  ham  sañg-e-girāñ  bhī  haiñ