ab  dard  kā  sūraj  kabhī  Dhaltā  hī  nahīñ  hai
ab  dil  koī  pahlū  ho  sambhaltā  hī  nahīñ  hai
bechain  kiye  rahtī  hai  jis  kī  talab-e-dīd
ab  baam  pe  vo  chāñd  nikaltā  hī  nahīñ  hai
ik  umr  se  duniyā  kā  hai  bas  ek  hī  aalam
ye  kyā  ki  falak  rañg  badaltā  hī  nahīñ  hai
nākām  rahā  un  kī  nigāhoñ  kā  fusūñ  bhī
is  vaqt  to  jaadū  koī  chaltā  hī  nahīñ  hai
jazbe  kī  kaḌī  dhuup  ho  to  kyā  nahīñ  mumkin
ye  kis  ne  kahā  sañg  pighaltā  hī  nahīñ  hai