hoshyār  kar  rahā  hai  gajar  jāgte  raho
ai  sāhibān-e-fikr-o-nazar  jāgte  raho
dasht-e-shab-e-siyāh  meñ  sunte  haiñ  shab-parast
rokeñge  kārvān-e-sahar  jāgte  raho
zulmat  kahīñ  na  kar  de  ujāle  ko  dāġh-dār
le  kar  charāġh-e-dīda-e-tar  jāgte  raho
so.e  nahīñ  ki  Duub  ga.ī  nabz-e-kā.enāt
bojhal  ho  laakh  aañkh  magar  jāgte  raho
ḳhvābīda  apne  chāhne  vāloñ  ko  dekh  kar
mumkin  hai  lauT  jaa.e  sahar  jāgte  raho