shahr  kā  shahr  salīboñ  se  sajā  hai  ab  ke
un  kī  aamad  kā  har  andāz  nayā  hai  ab  ke
qāfila  qāfila  maqtal  kī  taraf  jā.eñge  log
shoḳh  pahle  se  bahut  rañg-e-hinā  hai  ab  ke
ye  to  sach  hai  vo  isī  raah  se  guzreñge  magar
koī  dekhe  na  inheñ  hukm  huā  hai  ab  ke
aao  jī  bhar  ke  gale  mil  leñ  rafīqo  ham  aaj
qatl  kī  shakl  meñ  in.ām-e-vafā  hai  ab  ke
mausam-e-gul  tire  sadqe  tirī  aamad  ke  nisār
dekh  mujh  se  mirā  saaya  bhī  judā  hai  ab  ke
ek  qatra  nahīñ  detī  hai  guzar  jaatī  hai
jo  bhī  uThtī  hai  ghaTā  aisī  ghaTā  hai  ab  ke
dosto  zikr-e-ruḳh-e-yār  se  ġhāfil  na  raho
dasht-e-zulmāt  meñ  mahtāb  luTā  hai  ab  ke