nahīñ  hai  amn  kā  duniyā  meñ  ab  maqām  koī
ḳhudā  ḳhudā  kahe  koī  ki  raam  raam  koī
mire  banā.e  to  bantā  nahīñ  hai  kaam  koī
vo  kārsāz  kare  us  kā  intizām  koī
na  hogā  bazm  kā  bātoñ  se  intizām  koī
ḳhud  apnī  baat  pe  tujh  ko  nahīñ  qayām  koī
tumhāre  ho  ke  jo  ham  zillateñ  uThāte  haiñ
zalīl  hogā  kisī  kā  na  yuuñ  ġhulām  koī
uThāo  teġh  sazā  do  raqīb-e-mufsid  ko
nasīhatoñ  se  huā  hai  kab  intizām  koī
chhurī  se  rahm  kare  pahle  kis  par  ab  sayyād
koī  qafas  meñ  taḌaptā  hai  zer-e-dām  koī
ye  mujh  se  aañkh  milātā  nahīñ  hai  kyuuñ  saaqī
mire  nasīb  kā  shāyad  nahīñ  hai  jaam  koī
jo  naam  lete  haiñ  terā  vo  qatl  hote  haiñ
nahīñ  maregā  jo  legā  na  terā  naam  koī
kuchh  aur  kījiye  tadbīr  kaam  kī  'rāġhib'
ki  haa.e  haa.e  se  bantā  nahīñ  hai  kaam  koī