Raghib Badayuni

un se dil milte hi furqat ki bala bhi aai

Raghib Badayuni

un se dil milte hī furqat kī balā bhī aa.ī
jaan aane bhī na paa.ī ki qazā bhī aa.ī
ab to tum gor-e-ġharībāñ ko chalo be-parda
us kī sham.oñ ko havā jā ke bujhā bhī aa.ī
hijr meñ arsh se nākām duā hī na phirī
nā-rasā ho ke mirī āh-e-rasā bhī aa.ī
baat puurī na sunī ham ne kabhī nāseh kī
Tok uThe apnī samajh meñ jo zarā bhī aa.ī
pher lī ruḳh se nazar us ne kis andāz ke saath
aa.ine meñ jo nazar apnī adā bhī aa.ī
dekh kar haal mirā un se hañsī ruk na sakī
rokne ke liye har chand hayā bhī aa.ī
na.ash pe aa ke mirī us ne vo bāteñ chheḌīñ
har azādār ko ibrat bhī hayā bhī aa.ī
nigah-e-shauq ne kyā rāz-e-nihāñ faash kiyā
ham se parda bhī huā aaj hayā bhī aa.ī
naza.a meñ aa ke mirī sirf ye pūchhā us ne
ab batāo kisī masraf meñ vafā bhī aa.ī
dil hī ḳhasta na huā lashkar-e-ġham ke hāthoñ
balki is ma.arke meñ kaam duā bhī aa.ī
da.avā-e-sehr-e-bayānī hai abas ai 'rāġhib'
'mīr'-sāhib kī tumheñ tarz-e-adā bhī aa.ī
Top Urdushayar.com