un  se  dil  milte  hī  furqat  kī  balā  bhī  aa.ī
jaan  aane  bhī  na  paa.ī  ki  qazā  bhī  aa.ī
ab  to  tum  gor-e-ġharībāñ  ko  chalo  be-parda
us  kī  sham.oñ  ko  havā  jā  ke  bujhā  bhī  aa.ī
hijr  meñ  arsh  se  nākām  duā  hī  na  phirī
nā-rasā  ho  ke  mirī  āh-e-rasā  bhī  aa.ī
baat  puurī  na  sunī  ham  ne  kabhī  nāseh  kī
Tok  uThe  apnī  samajh  meñ  jo  zarā  bhī  aa.ī
pher  lī  ruḳh  se  nazar  us  ne  kis  andāz  ke  saath
aa.ine  meñ  jo  nazar  apnī  adā  bhī  aa.ī
dekh  kar  haal  mirā  un  se  hañsī  ruk  na  sakī
rokne  ke  liye  har  chand  hayā  bhī  aa.ī
na.ash  pe  aa  ke  mirī  us  ne  vo  bāteñ  chheḌīñ
har  azādār  ko  ibrat  bhī  hayā  bhī  aa.ī
nigah-e-shauq  ne  kyā  rāz-e-nihāñ  faash  kiyā
ham  se  parda  bhī  huā  aaj  hayā  bhī  aa.ī
naza.a  meñ  aa  ke  mirī  sirf  ye  pūchhā  us  ne
ab  batāo  kisī  masraf  meñ  vafā  bhī  aa.ī
dil  hī  ḳhasta  na  huā  lashkar-e-ġham  ke  hāthoñ
balki  is  ma.arke  meñ  kaam  duā  bhī  aa.ī
da.avā-e-sehr-e-bayānī  hai  abas  ai  'rāġhib'
'mīr'-sāhib  kī  tumheñ  tarz-e-adā  bhī  aa.ī