jā.ūñ  kyā  muñh  le  ke  maiñ  vo  bad-gumāñ  ho  jā.egā
rañg  ke  uḌne  se  ishq  us  par  ayaañ  ho  jā.egā
aish-e-bazm-e-be-ḳhudī  josh-e-fuġhāñ  ho  jā.egā
ham  kahāñ  hoñge  jo  rāz-e-ġham  ayaañ  ho  jā.egā
dūsrā  aalam  bane  to  ho  sake  taskīn-e-husn
ab  hai  jitnā  ye  to  sarf-e-imtihāñ  ho  jā.egā
tā-ajal  pahuñchā.egī  ye  nā-tavānī  hijr  meñ
zo.af  baḌhte  baḌhte  zor-e-nā-tavāñ  ho  jā.egā
merī  ḳhāmoshī  ko  zālim  jor-e-be-jā  se  na  chheḌ
varna  zabt-e-dil  tirī  zid  se  fuġhāñ  ho  jā.egā
shauq  se  ġhairoñ  meñ  jaa.e  maiñ  na  hūñgā  bad-gumāñ
ḳhū-e-bad  se  ḳhud  vo  apnā  pāsbāñ  ho  jā.egā
dil-nashīñ  hai  ālam-e-zauq-e-asīrī  kā  ḳhayāl
ab  dil-e-sayyād  apnā  āshiyāñ  ho  jā.egā
ġham  se  mere  ghar  meñ  gunjā.ish  nahīñ  hai  aish  kī
naġhma-ḳhvāñ  bhī  aa.egā  to  nauha-ḳhvāñ  ho  jā.egā
mausam-e-bārāñ  meñ  kyuuñ  hai  dasht  kā  qasd  ai  junūñ
āj-kal  to  dasht  apnā  hī  makāñ  ho  jā.egā
ḳhūbi-e-guftār  se  samjhegā  kaun  us  kā  javāb
hashr  saarā  mahv-e-andāz-e-bayāñ  ho  jā.egā
kyā  yaqīñ  thā  ham  jo  pahuñcheñge  vahāñ  ai  josh-e-ashk
vahm  apnā  baḌh  ke  us  kā  pāsbāñ  ho  jā.egā
kah  sakegā  kuchh  bhī  ai  'rāġhib'  na  us  ḳhāmosh  se
be-dahan  ke  sāmne  tū  be-zabāñ  ho  jā.egā