vaah  kyā  aalam  ajab  hai  intizār-e-yār  kā
naam  hai  dīdār-e-hasrat  hasrat-e-dīdār  kā
sair  hai  jannat  kī  sairoñ  se  tire  āshiq  kā  dil
le  ke  jannat  kyā  kare  bhūkā  tire  dīdār  kā
zarra-e-dil  meñ  utar  aa.e  hazāroñ  āftāb
kyā  karishma  hai  ḳhyāl-e-jalva-gāh-e-yār  kā
baḌh  chalā  thā  terī  ġhaflat  se  bhī  bār-e-bekasī
maut  ne  pūchhā  mizāj  aa  kar  tire  bīmār  kā
jānte  haiñ  ik  jhalak  meñ  jān-o-dil  miT  jā.eñge
log  muñh  takte  haiñ  tere  tālib-e-dīdār  kā
dhyān  meñ  us  ke  do-ālam  se  khiñchā  baiThā  huuñ  maiñ
ya.anī  ik  naqsha  khiñchā  hai  jazb-e-husn-e-yār  kā
jis  ko  kahte  haiñ  muqaddar  āshiqān-e-bad-nasīb
hai  vo  ik  bigḌā  huā  ḳhāka  mizāj-e-yār  kā