azal  kī  yaad  meñ  maiñ  garm-e-āh-e-sard  huā
lagī  thī  choT  kabhī  aur  aaj  dard  huā
guzar  gayā  ye  nigāhoñ  se  terā  markab-e-husn
tamām  ālam-e-dil  ik  qadam  meñ  gard  huā
ġhalat  ki  qābil-e-dār-o-rasan  hoñ  ahl-e-havas
bañdhā.ī  ishq  ne  himmat  jise  vo  mard  huā
pare  vo  aql  se  haiñ  is  yaqīñ  ne  rok  liyā
kabhī  jo  vahm  ke  pīchhe  meñ  rah-navard  huā
tamām  tajraba-e-garm-o-sard-e-ishq  kahāñ
kuchh  ashk-e-garm  huā  dil  kuchh  āh-e-sard  huā
naqāb  un  kī  uThī  thī  ki  ham  hue  behosh
nigāh  un  se  laḌī  thī  ki  dil  meñ  dard  huā
karam  se  apne  miTā  do  ki  be-qarār  hai  ishq
mirā  vajūd  ki  duniyā  ke  dil  kā  dard  huā
shuhūd-e-be-jihat-o-kaif  munsalik  'rāġhib'
junūñ  use  jo  kisī  samt  rah-navard  huā