nā-munāsib  hai  ḳhafā  nāloñ  ko  sun  kar  honā
abhī  aayā  hī  nahīñ  tum  ko  sitamgar  honā
hai  sitam  kā  ye  karam  aah  nahīñ  karte  ham
varna  āsān  na  thā  sabr  kā  ḳhūgar  honā
nahīñ  rahtī  koī  rok  ahl-e-junūñ  ke  aage
koī  dīvār  ho  shaq  ho  ke  use  dar  honā
ro  paḌā  maiñ  bhī  pasījā  jo  vo  but  nāloñ  par
qābil-e-rahm  hai  insān  kā  patthar  honā
aa  ke  samjhā.e  vo  taskīn  kā  pahlū  ham  ko
maan  leñge  dil-e-betāb  kā  patthar  honā
gor  meñ  dafn  kiyā  jab  na  ruke  zindāñ  meñ
kis  tarah  dekhte  dīvānoñ  kā  be-ghar  honā
qissa-e-tūr-o-kalīm  aap  sunāte  haiñ  fuzūl
nahīñ  mumkin  jo  tajallī  kā  mukarrar  honā
chhoḌ  kar  dā.ira-e-haq  ko  na  jaa.e  'rāġhib'
kufr  hai  silsila-e-shaiḳh  se  bāhar  honā