nisār-e-sham.a  hone  bazm  meñ  parvāna  aa  pahuñchā
qarīb-e-manzil-e-dīvangī  dīvāna  aa  pahuñchā
tarāne  hamd  ke  gulshan  meñ  barg-e-gul  se  suntā  huuñ
zabān-e-ġhuncha  pe  kyūñkar  tirā  afsāna  aa  pahuñchā
ise  kahte  haiñ  mil  kar  ḳhaak  meñ  iksīr  ho  jaanā
huā  sarsabz  vo  zer-e-zamīñ  jo  daana  aa  pahuñchā
safar  is  bazm  se  karne  ko  phir  raj.at  kī  Thānī  hai
gale  phir  aaj  milne  sham.a  se  parvāna  aa  pahuñchā
raqam  hai  dāstān-e-ishq-e-bulbul  patte  patte  par
guloñ  tak  kis  tarah  gulshan  meñ  ye  afsāna  aa  pahuñchā
khiñchī  thī  kyā  tirī  tasvīr  tarkīb-e-anāsir  se
ki  musht-e-ḳhāk  meñ  andāz-e-māshūqāna  aa  pahuñchā
parastār-e-sanam  ho  kar  jo  DhūñDī  raah  ka.aba  kī
qadam  bahkā  huā  apnā  sar-e-mai-ḳhāna  aa  pahuñchā
baneñge  aaj  phir  sarmast  sahbā-e-suḳhan  'raunaq'
qadam  phir  apnā  qurb-e-mahfil-e-rindāna  aa  pahuñchā