kiyā  hai  ishq  ne  āzād  do-jahāñ  se  hameñ
na  kuchh  yahāñ  se  ġharaz  hai  na  kuchh  vahāñ  se  hameñ
ḳhudī  ko  bhuul  ke  mast-e-alast  ho  jaanā
milā  hai  faiz  ye  ḳhum-ḳhāna-e-muġhāñ  se  hameñ
azaañ  haram  meñ  hai  nāqūs  hai  kunisht  meñ  to
sadā.eñ  aatī  haiñ  terī  kahāñ  kahāñ  se  hameñ
phir  aaj  uTThā  hai  vo  parda-e-hijāb  kahīñ
shuā.eñ  sī  nazar  aatī  haiñ  kuchh  yahāñ  se  hameñ
misāl-e-sham.a  haiñ  sab  rāt-bhar  ke  ye  jalve
sahar  ko  uThnā  hai  is  mahfil-e-jahāñ  se  hameñ
miTā  ke  hasti-e-mauhūm  tujh  ko  paayā  hai
pata  milā  hai  tirā  ḳhāk-e-be-nishāñ  se  hameñ
chaman  se  uTh  gayā  'raunaq'  jab  āshiyāñ  apnā
na  phir  bahār  se  matlab  na  kuchh  ḳhizāñ  se  hameñ