rañg-e-tasvīr-e-jahāñ  ko  tirā  naqshā  samjhā
zarre  zarre  ko  maiñ  ik  husn-e-sarāpā  samjhā
mahv-e-hairat  jo  tasavvur  ne  banāyā  mujh  ko
apnī  tasvīr  ko  maiñ  terā  sarāpā  samjhā
be-ḳhud-e-jalva  kabhī  aur  kabhī  hushiyār  rahā
kabhī  ma.abūd  kabhī  ḳhud  ko  maiñ  banda  samjhā
vā-e-ġhaflat  ki  sarāb-āsā  na  jaanā  us  ko
bhuul  itnī  huī  duniyā  ko  maiñ  duniyā  samjhā
dīda-e-tar  ne  uThā.e  vo  shab-e-ġham  tūfāñ
jo  girā  aañkh  se  qatra  use  dariyā  samjhā