ḳhayāl-o-ḳhvāb  kī  duniyā  se  istifāda  kiyā
hunar  samajh  ke  isī  kaam  ko  ziyāda  kiyā
ye  tū  ne  kaun  se  mansab  kī  pāsdārī  kī
banāyā  miir  mujhe  ḳhud  ko  mīrzāda  kiyā
kamāl  ye  ki  jise  rāsta  milā  hī  nahīñ
vo  kah  rahā  hai  safar  ham  ne  pā-piyāda  kiyā
koī  batāo  ki  maiñ  ḳhud  ko  roktā  kaise
jab  us  ne  saath  mire  chalne  kā  irāda  kiyā
bahut  dinoñ  pe  tabī.at  udhar  huī  maa.il
bahut  dinoñ  pe  sabā  ne  bhī  dil  kushāda  kiyā