kahīñ  jā.ūñ  ta.alluq  kā  sitāra  chaltā  rahtā  hai
mire  hamrāh  ye  kis  kā  ishāra  chaltā  rahtā  hai
basīrat  kho  ga.ī  lekin  tavaqqo.a  hai  bashārat  kī
kisī  ke  naam  kā  ab  bhī  sahārā  chaltā  rahtā  hai
ab  ik  qatra  bhī  dil  kī  jhiil  meñ  paanī  nahīñ  rahtā
magar  kyā  kījiye  tab  bhī  shikārā  chaltā  rahtā  hai
kahāñ  tum  ārzūoñ  kī  havelī  DhūñDne  nikle
yahāñ  to  be-panāhī  meñ  guzārā  chaltā  rahtā  hai
ham  apne  dostoñ  par  naaz  kuchh  yūñhī  nahīñ  karte
ki  zikr-e-ḳhair  ho  yā  bad  hamārā  chaltā  rahtā  hai
kaleja  hai  to  maidān-e-amal  meñ  aa  kitābeñ  likh
adab  ke  kaam  meñ  pyāre  ḳhasāra  chaltā  rahtā  hai
kabhī  aao  to  dikhlā.eñ  karishma  tum  ko  dariyā  kā
ki  maujeñ  munjamid  haiñ  aur  kināra  chaltā  rahtā  hai