baqā  kī  chaah  meñ  tū  dekh  be-makān  na  ho
zamīn  terī  haqīqat  hai  āsmān  na  ho
rah-e-najāt  meñ  manzil  kī  justujū  kis  ko
ye  vo  safar  hai  ki  jis  meñ  kabhī  thakān  na  ho
yahāñ  sabhī  kī  rasā.ī  to  ġhair  mumkin  hai
ye  tajrabāt  kī  mahfil  hai  bad-gumān  na  ho
raho  ḳhilāf  to  duniyā  se  vāsta  na  rahe
milo  to  aise  ki  phir  koī  darmiyān  na  ho
tumhārī  shah  pe  falak  kī  to  Thaan  lī  hai  magar
ye  zindagī  kī  kahīñ  āḳhirī  uḌaan  na  ho