rut  badaltī  hai  badaltā  nahīñ  manzar  sā.īñ
ab  kahāñ  jaa.e  batā  terā  qalandar  sā.īñ
ik  mire  naam  nahīñ  terī  saḳhāvat  varna
jagmagātā  hai  karishma  tirā  dar  dar  sā.īñ
shahr  kā  shahr  huā  jaatā  hai  kaise  sairāb
kaun  aayā  hai  yahāñ  le  ke  samundar  sā.īñ
ab  to  mahsūs  ye  hotā  hai  ki  manzil  hai  qarīb
rāsta  aisā  nahīñ  hotā  munavvar  sā.īñ
koī  kuchh  bhī  na  kahe  shahar-e-adāvat  hī  sahī
ham  to  ābād  hue  haiñ  yahāñ  luT  kar  sā.īñ
shā.irī  jis  ke  liye  kī  vo  sirā  hai  to  hai  baat
laakh  duniyā  mujhe  kahtī  hai  suḳhnavar  sā.īñ
phir  kisī  roz  tamannā  ke  qadam  chūmūñgā
aaj  to  jaane  diyā  jaa.e  mujhe  ghar  sā.īñ
karbalā  hai  to  yahāñ  sar  kī  bhī  qīmat  hogī
kuchh  to  in.aam  rahegā  mire  sar  par  sā.īñ