jhankār  kā  rishta  to  hai  zanjīr  se  sā.īñ
kyoñ  log  pareshāñ  hue  ta.abīr  se  sā.īñ
kuchh  log  abhī  shahr  meñ  aise  bhī  haiñ  ḳhush-posh
jo  aag  lagā  dete  haiñ  taqrīr  se  sā.īñ
haq  bolne  kā  hausla  ab  ham  meñ  nahīñ  hai
nisbat  to  nikaltī  rahī  shabbīr  se  sā.īñ
tadbīr  pe  mauqūf  hai  duniyā  kī  hukūmat
ham  log  ulajhte  rahe  taqdīr  se  sā.īñ
rahne  do  abhī  ā.ina-ḳhāne  meñ  koī  aks
kuchh  dil  to  bahal  jaatā  hai  tasvīr  se  sā.īñ
pahle  hī  bahut  der  huī  aane  meñ  un  ke
ab  jaan  nikal  jā.egī  tāḳhīr  se  sā.īñ
tadbīr  kuchh  aisī  karo  ulfat  ke  nigahbāñ
bichhḌe  na  koī  rāñjhā  kisī  hiir  se  sā.īñ