Imdad Ali Bahr

boliye karta hun minnat aap ki

Imdad Ali Bahr

1810-1878

boliye kartā huuñ minnat aap

kyuuñ mukaddar hai tabī.at aap

phūñke detī hai kalejā siine meñ

sho.ala ban ban kar mohabbat aap

itnī be-parvā.iyāñ achchhī nahīñ

log karte haiñ shikāyat aap

chāñdnī muñh par na paḌne dījiye

mailī ho jā.egī rañgat aap

ek dil rakhte the vo bhī kho chuke

ho ga.e muflis badaulat aap

daaġh ham ko ḳhaal sāhab ko milā

ye nasīb apnā vo qismat aap

mar ke phir zinda hue samjheñge ham

jhel jā.eñge jo furqat aap

muñh lagā kar phir na hargiz pūchhnā

vaah kyā achchhī hai aadat aap

hūreñ jannat se to pariyāñ qaaf se

dekhne aatī haiñ sūrat aap

merī sūrat se agar nafrat nahīñ

kyuuñ badal jaatī hai rañgat aap

ek bose par hazāroñ hujjateñ

māniye kyuuñ kar saḳhāvat aap

sun ke matlab saaf āñkheñ pher liiñ

dekh ham ne muravvat aap

phuul pañkhuḌī ai bāġh-e-husn

dāġh-e-dil par hai ināyat aap

har kisī ke sāmne rote ho 'bahr'

bah ga.ī āñkhoñ se ġhairat aap

Top Urdushayar.com