ashk-e-gul-rañg nisār-e-ġham-e-jānāna kareñ
aaj terī hī ḳhushī ai dil-e-dīvāna kareñ
dard-mandoñ se ye kah do ki bā-ā.īn-e-niyāz
dil ko zauq-karam yaar se begāna kareñ
taaki āsūda-e-hirmāñ dil-e-ġham-kosh na ho
do ghaḌī zikr-e-mai-o-sāqī-o-paimāna kareñ
bū-e-ḳhush terī nahīñ jin ke mashām-e-jāñ meñ
rañg-o-nik.hat kā guloñ ko vahī paimāna kareñ
ka.aba-o-dair-o-kalīsā kī fazāoñ se alag
aao ta.amīr mohabbat kā jilau-ḳhāna kareñ
itnī fursat hī kahāñ hai ki tire soḳhta-jāñ
jalne marne meñ ham-āhañgī-e-parvāna kareñ
apnī hastī kī faqat itnī hai rūdād 'asar'
jaise mansūb haqīqat se ik afsāna kareñ