Imdad Ali Bahr

main us but ka wasl ai KHuda chahta hun

Imdad Ali Bahr

1810-1878

maiñ us but vasl ai ḳhudā chāhtā huuñ

maraz ishq hai davā chāhtā huuñ

bayān-e-malāhat kiyā chāhtā huuñ

suḳhan meñ namak mazā chāhtā huuñ

na dekhūñ maiñ us gul ke pahlū meñ kāñTā

uḌe ġhair aisī huā chāhtā huuñ

mujhe tasma-bandī ho ai zulf-e-pechāñ

faqīr āj-kal maiñ huā chāhtā huuñ

lagī be-tarah hai ḳhudā bachā.e

sulagtā hai dil meñ jalā chāhtā huuñ

bahut karvaTeñ liiñ nahīñ niiñd aatī

baġhal meñ koī dilrubā chāhtā huuñ

mohabbat meñ ye aql zaa.il huī hai

ki ahl-e-daġhā se vafā chāhtā huuñ

khule hāl-e-bīmār chashm-e-suḳhan-go

ishāroñ meñ bāteñ kiyā chāhtā huuñ

burā maan jāoge muñh pher loge

na pūchho qasam de ke kyā chāhtā huuñ

nigāheñ ulajhtī haiñ zulfoñ meñ be-Dhab

un āñkhoñ ke hāthoñ phañsā chāhtā huuñ

mah-e-nau ke misre meñ misre lagā.ūñ

maiñ itnī tabī.at-rasā chāhtā huuñ

hue chāra-jū kab marīz-e-mohabbat

ḳhudā maut de jo shifā chāhtā huuñ

vahī dushman-e-jāñ hai ai 'bahr' merā

jise jaan se maiñ sivā chāhtā huuñ

Top Urdushayar.com