Asar Lakhnavi

aaKHir-e-kar yahi uzr jafa ka nikla

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967

āḳhir-e-kār yahī uzr jafā niklā

jurm aur jurm bhī ik umr-e-vafā niklā

os meñ Duub ke jis tarah nikhartā hai gulāb

sharm se aur sivā husn adā niklā

kyā karī hai ki jab dar pe tire aa baiThā

āstīñ se na kabhī haath gadā niklā

jo duā māñgī hai auroñ ḳhātir māñgī

hausla aaj mire dast-e-duā niklā

shauq-e-manzil liye uTh ga.e jaane vaale

āshnā ek na āvāz-e-darā niklā

jab hai to phir ġhaib o huzūrī kaisī

ek rañg baqā aur fanā niklā

Top Urdushayar.com