Asar Lakhnavi

nigah-e-shauq ko yun aaina-samani de

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967

nigah-e-shauq ko yuuñ ā.ina-sāmānī de

ishq ko husn banā husn ko hairānī de

dil-navāzī meñ bhī iizā hai mohabbat qasam

tujh ko fursat jo kabhī shuġhl-e-sitam-rānī de

kuchh tirī chashm-e-suḳhan-sāz iimā na khulā

lab-e-mai-nosh ko taklīf-e-gul-afshānī de

phuul vo hai jo mayassar chaḌhe ye suntā thā

ab khulā dil rah-e-ishq meñ qurbānī de

aa.ina sañg-e-dar-e-dost huā bhī to kyā

sar jo sajde meñ jhuke lau tirī peshānī de

uf vo purkār jo sunte taġhāful gila

ishva-o-nāz ko ta.alīm-e-pashīmānī de

dil-e-betāb-e-tamāshā tasallī ma.alūm

apne har jalve ko ik paikar-e-insānī de

us añgḌā.ī aalam to kabhī dekh ai gul

aur husn tirī chāk-garebānī de

aao shīrāza-e-hastī ko pareshāñ kar deñ

yuuñ ki us zulf ko paiġhām-e-pareshānī de

terī sarkār ġhanī terā gadā bhī hai ġhanī

kuchh na de aur jo de ġham farāvānī de

is tavaqqo pe huuñ ḳhāmosh ki vo shoḳh-nigāh

phir Tahokā pa-e-taqrīb-e-ġhazal-ḳhvānī de

Top Urdushayar.com