chupke se naam le ke tumhārā kabhī kabhī
dil Dūbne lagā to ubhārā kabhī kabhī
har-chand ashk-e-yās jab umDe to pī ga.e
chamkā falak pe ek sitārā kabhī kabhī
maiñ ne to hoñT sī liye is dil ko kyā karūñ
be-iḳhtiyār tum ko pukārā kabhī kabhī
zahr-e-alam kī aur baḌhāne ko talḳhiyāñ
be-mehriyoñ ke saath mudārā kabhī kabhī
rusvā.iyoñ se duur nahīñ be-qarāriyāñ
dil ko ho kaash sabr kā yaarā kabhī kabhī
qatre se ek mauj ye kahtī nikal ga.ī
sāhil se maslahat hai kinārā kabhī kabhī
ai shāhid-e-jamāl koī shakl hai kī ho
terī nazar se terā nazāra kabhī kabhī
hañgām-e-girya aah se nādāñ 'asar' hazar
uḌtā hai ashk jaise sharāra kabhī kabhī