qadam  qadam  pe  ajab  hādsāt-e-ġham  guzre
jahāñ  jahāñ  se  tirī  justujū  meñ  ham  guzre
ġham-e-hayāt  ko  le  kar  jidhar  se  ham  guzre
hujūm-e-hādisa-e-nau-ba-nau  baham  guzre
na  raas  aa.e  mirī  zindagī  mujhe  ai  dost
kabhī  garāñ  jo  mire  dil  pe  terā  ġham  guzre
qadam  qadam  pe  huā  imtihān-e-hosh-o-ḳhirad
ḳhudā  kā  shukr  ki  dāman  bachā  ke  ham  guzre
nazar  meñ  raqs-kunāñ  hai  tasavvur-e-ruḳh-e-dost
ye  kah  do  bād-e-sabā  se  dabe  qadam  guzre
jabīñ  jhuke  to  simaT  aa.e  āstān-e-habīb
vo  sajda  kyā  jo  ba-qaid-e-dar-e-haram  guzre
milī  jahāñ  se  matā-e-ḳhushī  zamāne  ko
ham  us  maqām  se  'māhir'  ba-chashm-e-nam  guzre