ġhazab  hai  dekhne  meñ  achchhī  sūrat  aa  hī  jaatī  hai
nahīñ  roke  se  dil  ruktā  tabī.at  aa  hī  jaatī  hai
bharā  hai  dil  hamārā  dostoñ  kī  bevafā.ī  se
kahāñ  tak  zabt  bātoñ  meñ  shikāyat  aa  hī  jaatī  hai
paḌegā  tere  jī  meñ  shak  na  sun  ġhammāz  kī  bāteñ
hazār  ā.īna  ho  dil  par  kudūrat  aa  hī  jaatī  hai
ye  kyā  ma.alūm  thā  ye  ishq  saudā.ī  bānegā
kahīñ  Taltī  hai  aane  vaalī  aafat  aa  hī  jaatī  hai
tilā.ī  rañg  par  kyuuñ  kar  na  un  logoñ  ko  ġharrā  ho
ye  zar  vo  chehra  hai  ḳhātir  meñ  naḳhvat  aa  hī  jaatī  hai
junūn-e-ishq  meñ  har  chand  kuchh  ġhairat  nahīñ  lekin
jo  koī  taan  kartā  hai  hamīyat  aa  hī  jaatī  hai
ajab  rūdād  hai  apnī  bayāñ  karte  haiñ  ham  jis  se
nikal  aate  haiñ  aañsū  us  ko  riqqat  aa  hī  jaatī  hai
nikal  jaa.e  na  kyuuñ  kar  shahr  se  majnūñ  bayābāñ  ko
bashar  ko  apnī  uryānī  se  ġhairat  aa  hī  jaatī  hai
hañsī  achchhī  nahīñ  dekho  tamīz  is  meñ  nahīñ  rahtī
ki  muñh  lag  chalne  meñ  bose  kī  naubat  aa  hī  jaatī  hai
lachakte  hī  kamar  zulf-e-rasā  kī  jhoñk  lene  se
asar  ma.ashūq-pan  kā  hai  nazākat  aa  hī  jaatī  hai
bahut  apne  ko  shā.ista  vo  ġhairoñ  meñ  banāte  haiñ
tabī.at  meñ  jo  garmī  hai  sharārat  aa  hī  jaatī  hai
kahāñ  tak  nek  sohbat  kā  asar  hogā  na  insāñ  ko
mile  tāñbā  jo  sone  se  to  rañgat  aa  hī  jaatī  hai
ḳhudā  sūrat  na  dikhlā.e  mujhe  ātish-izāroñ  kī
hazār  un  se  hai  dil  ThanDā  harārat  aa  hī  jaatī  hai
duā-e-maġhfirat  jab  māñgte  haiñ  us  se  ro  ro  kar
barābar  josh  meñ  ḳhāliq  kī  rahmat  aa  hī  jaatī  hai
koī  mahbūb  us  kī  jaan  kā  saa.il  jo  hotā  hai
jhukā  letā  hai  'bahr'  āñkheñ  muravvat  aa  hī  jaatī  hai