ai  asīrān-e-tilism-e-shab-e-ġham  so  jaao
sham-e-ummīd  kī  lo  ho  ga.ī  kam  so  jaao
chāñd-tāroñ  kī  chamak  ho  ga.ī  kam  so  jaao
sarhad-e-sub.h  meñ  haiñ  shab  ke  qadam  so  jaao
ab  na  jaago  kisī  guzrī  huī  shab  kī  yaado
tum  ko  ham  jāgne  vāloñ  kī  qasam  so  jaao
bujh  ga.ī  sham.a  bhī  parvāne  bhī  dam  toḌ  chuke
un  ke  aane  kī  ab  ummīd  hai  kam  so  jaao
DabDabā.ī  huī  āñkho  tumheñ  ashkoñ  kī  qasam
khul  na  jaa.e  kahīñ  ulfat  kā  bharam  so  jaao
ġham  ke  māroñ  ko  sukūñ  miltā  hai  maiḳhāne  meñ
jaao  chheḌo  na  hameñ  shaiḳh-e-haram  so  jaao
dil  dhaḌakne  kī  bhī  āvāz  hai  sākit  'māhir'
ab  nahīñ  koī  sharīk-e-shab-e-ġham  so  jaao