sukūn-e-qalb  ke  asbāb  ham  pe  band  rahe
magar  ham  ahl-e-mohabbat  vafā-pasand  rahe
qadam  qadam  pe  sajā.e  ga.e  the  dār-o-rasan
ḳhudā  kā  shukr  ki  ham  phir  bhī  sar-buland  rahe
vo  ik  hameñ  the  jo  sharminda-e-karam  na  hue
vo  nañg-e-ishq  the  jo  iltijā-pasand  rahe
tire  sitam  ne  mire  dil  ko  hausla  baḳhshā
ḳhudā  kare  ki  tirā  hausla  buland  rahe
zabāñ  se  tāqat-e-guftār  chhīnñe  vaalo
tumhīñ  batāo  ki  kab  tak  zabān  band  rahe
jo  āshnā-e-fazā-e-falak  the  ai  'māhir'
vo  ḳhizr  bhī  to  mirī  gard-e-pā  meñ  band  rahe