Imdad Ali Bahr

ham-zad hai gham apna shadan kise kahte hain

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ham-zād hai ġham apnā shādāñ kise kahte haiñ
vāqif nahīñ ishrat kā sāmāñ kise kahte haiñ
bīmār-e-mohabbat haiñ ham tārik-e-rāhat haiñ
nā-vāqif-e-sehat haiñ darmāñ kise kahte haiñ
muddat se ye sāmāñ hai tan sho.ala-e-uryāñ hai
kyā chiiz garebāñ hai dāmāñ kise kahte haiñ
māthe pe pasīna hai qudrat kā tamāshā hai
tāroñ kī jhamak kyā hai afshāñ kise kahte haiñ
dil de ke jafā sahiye aafat meñ phañse rahiye
daanā jo hameñ kahiye nādāñ kise kahte haiñ
jab yaar ne dekhā hai ik zaḳhm lagāyā hai
sau tīroñ kā dastā hai mizhgāñ kise kahte haiñ
us turk kī palkoñ se mahfūz ḳhudā rakkhe
bar kaTte haiñ tīroñ kī paikāñ kise kahte haiñ
dil kī jo zarā.at hai ḳhār-o-ḳhas-e-zahmat se
ik qatre kī hasrat hai bārāñ kise kahte haiñ
sach kahte haiñ ye zīrak hai ishq-e-junūñ be-shak
vāqif na the ham gul tak zindāñ kise kahte haiñ
har-vaqt hai be-zārī har dam hai jafākārī
dil-jūī-o-dildārī-e-jānāñ kise kahte haiñ
ruḳhsār kā shaidā huuñ kyā gul ko samajhtā huuñ
mahv-e-ḳhat-e-zebā huuñ raihāñ kise kahte haiñ
muddat se hai dil barham sohbat se nahīñ mahram
āzād haiñ ghar se ham mehmāñ kise kahte haiñ
jaate haiñ kabhī dargāh shīvāle meñ bhī hai raah
maz.hab se nahīñ āgāh īmāñ kise kahte haiñ
haidar se tavallā hai rahmat kā bharosā hai
ai 'bahr' ḳhatā kyā hai isyāñ kise kahte haiñ
Top Urdushayar.com