Jitendra Mohan Sinha Rahbar

dosti apni kisi se na shanasai hai

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Bijnor, Uttar pradesh, India

1911-1993

dostī apnī kisī se na shanāsā.ī hai

zindagī ek musalsal shab-e-tanhā.ī hai

husn ināyat hai rifāqat hai masīhā.ī hai

ishq ibādat hai parastish hai jabīñ-sā.ī hai

raaz mahsūs hai is darja ki mere dil meñ

ḳhud tamāshā hai vo aur ḳhud tamāshā.ī hai

jis ke piine meñ baqā jis ke pilāne meñ savāb

merī taqdīr meñ zāhid vo sharāb aa.ī hai

ham se mil lete haiñ ye un dil-ārā.ī hai

duur baiThte haiñ ham yahī dānā.ī hai

āñkhoñ āñkhoñ meñ pilā mire saaqī ne mujhe

ḳhauf-e-zillat hai na andesha-e-rusvā.ī hai

hamd-e-bārī hai mohabbat jo usī se ho jaa.e

jis ko maḳhsūs koī apnī adā bhaa.ī hai

vo mujhe dekh ke parde meñ jo chhup jaate haiñ

maiñ samajhtā huuñ mohabbat mujhe raas aa.ī hai

nisf sad-sāl se bhī zyāda huī umr tamām

aur kis din ke liye un masīhā.ī hai

dil meñ rakhte haiñ harīfoñ se chhupā kar mujh ko

un ko ma.alūm hai rahbar mirā saudā.ī hai

Thiik urdu abhī likhnī bhī nahīñ aa.ī hai

aisī kam-ilmī pe kyā ḳhuub ye goyā.ī hai

merī aadat hai vafā dil meñ shakebā.ī hai

baat yuuñ bārgah-e-nāz meñ ban aa.ī hai

Top Urdushayar.com