Jitendra Mohan Sinha Rahbar

mata-e-KHun-e-jigar ashk ko pila baiThe

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Bijnor, Uttar pradesh, India

1911-1993

matā-e-ḳhūn-e-jigar ashk ko pilā baiThe

asāsa haath meñ jitnā thā sab uThā baiThe

kisī hasīn se dil ko jo ham lagā baiThe

to apnī maut ko ḳhud aap bulā baiThe

baḌā gunāh kiyā jo qubūl dāvat

vo dil ko le uḌe aur duur baiThe

use bulāne baiThāne zikr kyā hai

jo az-ḳhud aa.e nigāhoñ meñ aur samā baiThe

hamāre haal pe itnā to vo karam kar de

ki dil na de na sahī kuchh qarīb aa baiThe

nafā samajh ke base the tumhāre kūche meñ

magar jo gāñTh meñ thā vo bhī sab luTā baiThe

ham un buzurg ke pairav haiñ ek adnā se

nazar raushnī jo tuur par gañvā baiThe

har ek bazm meñ charchā hai har zabāñ par zikr

ye kis se mājrā-e-ishq ham sunā baiThe

vo dast-e-faiz to 'rahbar' nihāl kar detā

umiid aap kisī aur se lagā baiThe

Top Urdushayar.com