Jitendra Mohan Sinha Rahbar

tujhe gar pas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin sakta

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Bijnor, Uttar pradesh, India

1911-1993
tujhe gar pās-e-ġhairat ai sitamgar ho nahīñ saktā
to dil bhī shākī-e-ta.azīr-e-ḳhanjar ho nahīñ saktā
maiñ tark-e-bāda-noshī ke liye muddat se koshāñ huuñ
magar ye kaam puurā qabl-e-mahshar ho nahīñ saktā
bulā kar baat pūchheñ rū-ba-rū apne to ro denā
dalā.el kā asar kuchh is se behtar ho nahīñ saktā
shikāyat tujh se kyā saaqī ki hai tāḳhīr kā aadī
sitam duniyā meñ lekin is se baḌh kar ho nahīñ saktā
sukūn-o-zabt kī to ham-nashīñ maiñ intihā kar duuñ
magar mujh ko vo yūsuf ab mayassar ho nahīñ saktā
pilā.e jā ki maiñ mad.hosh ho jā.ūñ to tū maane
ki mai-noshī meñ koī mujh se baḌh kar ho nahīñ saktā
suḳhan-sāzī meñ lāzim hai kamāl-e-ilm-o-fan honā
mahz tuk-bandiyoñ se koī shā.er ho nahīñ saktā
hunar-mandoñ kī har majlis se ye āvāz aatī hai
ki nādāñ kā koī duniyā meñ 'rahbar' ho nahīñ saktā
Top Urdushayar.com