gayā  javānī  kā  saath  sab  kuchh  vo  garmi-e-ishq  ab  kahāñ  hai
jo  maiñ  ne  us  vaqt  aah  kī  hai  bujhī  huī  aag  kā  dhuāñ  hai
lage  bujhātā  nahīñ  vo  dushman  jalan  ye  hai  pheñk  rahā  hai  tan-man
charāġh  sā  dāġh-e-dil  hai  raushan  diyā-salā.ī  hai  ustuḳhvāñ  hai
tabī.at  apnī  hai  kyuuñ  mukaddar  nahīñ  samajhtā  na  samjhe  dilbar
karegā  dushman  bhī  rahm  ham  par  agar  ḳhudā  apnā  mehrbāñ  hai
khule  haiñ  dāġhoñ  ke  phuul  tan  par  bahār-e-tāza  hai  ai  gul-e-tar
kabhī  to  merī  taraf  nazar  kar  chaman  meñ  kyā  shāḳh-e-za.afrān  hai
kabhī  hai  mānind-e-mauj-e-dariyā  kabhī  hai  misl-e-ġhubār-e-sahrā
kahūñ  maiñ  kyā  haal  apne  dil  kā  bichhaḌ  ke  mujh  se  ravāñ-davāñ  hai
talaf  hue  jis  meñ  zindagānī  basar  hue  jis  meñ  naujavānī
vo  merī  biitī  huī  kahānī  suno  agar  shauq-e-dāstāñ  hai
yahī  haiñ  ma.anī-e-ishq-e-kāmil  ki  sau  balāoñ  se  huuñ  muqābil
buland  hai  ab  jo  nāla-e-dil  sipāh-e-andoh  kā  nishāñ  hai
ḳhudā  na  dikhlā.e  achchhī  sūrat  abhī  to  aa  jaatī  hai  harārat
paḌegī  be-shak  nigāh-e-ulfat  za.iif  go  maiñ  huuñ  dil  javāñ  hai
hazār  afsos  umr  khoī  na  dekhā  dīn-dār  ham  ne  koī
hai  vā.izoñ  meñ  fasāna-goī  madrasoñ  meñ  chunīñ-chunāñ  hai
barā-e-zar  muttaqī  bane  haiñ  husūl  ke  mas.ale  chhine  haiñ
murīd  jo  haiñ  vo  but  bane  haiñ  matā-e-islām  rā.egāñ  hai
koī  to  'saudā'  kā  hai  muvassif  koī  'taqī'-mīr  kā  muārrif
batāo  ai  dostān-e-munsif  ka.ī  hamārā  bhī  qadr-dāñ  hai
sune  hai  maiñ  ne  fuġhān-e-bulbul  bahār  meñ  hai  mujhe  ta.ammul
chaTak  rahā  hai  jo  ġhuncha-e-gul  sadā-e-naqqāra-e-ḳhizāñ  hai
kiyā  hai  kyuuñ  'bahr'  se  kinārā  tirī  judā.ī  ne  mujh  ko  maarā
are  but-e-sañg-dil  ḳhudā-rā  bulā  le  mujh  ko  bhī  to  jahāñ  hai