Azra Naqvi

motabar se rishton ka saeban rahne do

Azra Naqvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1952
mo'tabar se rishtoñ kā sā.ebān rahne do
mehrbāñ duāoñ meñ ḳhāndān rahne do
muzmahil se bām-o-dar ḳhasta-hāl dīvāreñ
baap kī nishānī hai vo makān rahne do
phailte hue shahro apnī vahshateñ roko
mere ghar ke āñgan par āsmān rahne do
aane vaalī nasleñ ḳhud hal talāsh kar leñgī
aaj ke masā.il ko ḳhush-gumān rahne do
uljhe uljhe resham kī Dor se bañdhe rishte
har ghaḌī mohabbat kā imtihān rahne do
kyā bahut zarūrī hai saarī baat kah Dāleñ
jugnuoñ se kuchh lamhe darmiyān rahne do
Top Urdushayar.com