zaat  ke  karb  ko  lafzoñ  meñ  dabā.e  rakkhā
mez  par  terī  kitāboñ  ko  sajā.e  rakkhā
tū  ne  ik  shaam  jo  aane  kā  kiyā  thā  va.ada
maiñ  ne  din-rāt  charāġhoñ  ko  jalā.e  rakkhā
kis  salīqe  se  ḳhayāloñ  ko  zabāñ  de  de  kar
mujh  ko  us  shaḳhs  ne  bātoñ  meñ  lagā.e  rakhā
maiñ  vo  siitā  ki  jo  lachhman  ke  hisāroñ  meñ  rahī
ham  vo  jogī  ki  alakh  phir  bhī  jagā.e  rakkhā
shāyad  aa  jaa.e  kisī  roz  vo  sajda  karne
isī  ummīd  pe  āñchal  ko  bichhā.e  rakkhā
chūḌiyāñ  rakh  na  sakīñ  merī  namāzoñ  kā  bharam
phir  bhī  hāthoñ  ko  duāoñ  meñ  uThā.e  rakkhā
jaane  kyuuñ  aa  ga.ī  phir  yaad  usī  mausam  kī
jis  ne  'shabnam'  ko  havāoñ  se  bachā.e  rakkhā