nā-rasā.ī  kā  chalo  jashn  manā.eñ  ham  log
shāyad  is  tarah  se  kuchh  kho.eñ  to  paa.eñ  ham  log
ret  hī  ret  agar  apnā  muqaddar  Thahrā
kyūñki  phir  ek  gharauñdā  hī  banā.eñ  ham  log
jism  kī  qaid  koī  qaid  nahīñ  hotī  hai
aao  sab  jhūTī  hadeñ  toḌ  ke  jaa.eñ  ham  log
is  badalte  hue  mausam  kā  bharosā  bhī  nahīñ
giilī  miTTī  pe  koī  naqsh  sajā.eñ  ham  log
rok  pā.eñge  na  lamhāt  ke  mausam  ham  ko
ek  dīvār  zamāna  to  havā.eñ  ham  log
apne  jazbāt  ke  pākīza  tahaffuz  ke  liye
kabhī  malbūs  kabhī  garm  ridā.eñ  ham  log
koī  sūraj  na  kisī  raat  ke  dāman  meñ  girā
māñgte  hī  rahe  sadiyoñ  se  duā.eñ  ham  log
chāñd  utrā  nahīñ  ab  tak  bhī  zamīñ  par  'shabnam'
ek  muddat  huī  dete  haiñ  sadā.eñ  ham  log