roz  uThtā  hai  dhuāñ  koh-e-nidā  ke  us  paar
chāñd  chup-chāp  sulagtā  hai  fazā  ke  us  paar
bhiig  jaatī  hai  ye  ma.asūm  sī  dhartī  har  sub.h
kaun  rotā  hai  batāo  to  ghaTā  ke  us  paar
sarhad-e-jism  se  aage  had-e-imkāñ  se  pare
shahr-e-jāñ  rahtā  hai  dīvār-e-anā  ke  us  paar
nekiyāñ  bāñTte  rahne  kī  sazā  lāzim  hai
paara  paara  hai  badan  kū-e-jazā  ke  us  paar
maiñ  ki  mañjdhār  meñ  huuñ  kaun  nikāle  'shabnam'
chhup  gayā  vo  to  kahīñ  mujh  ko  bulā  ke  us  paar