badaltī  rut  pe  havāoñ  ke  saḳht  pahre  the
lahū  lahū  thī  nazar  daaġh  daaġh  chehre  the
ye  raaz  khul  na  sakā  harf-e-nārsā  pe  mire
sadā.eñ  tez  bahut  thiiñ  ki  log  bahre  the
vo  pūjne  kī  siyāsat  se  ḳhuub  vāqif  thā
vahī  chaḌhā.e  jo  geñde  ke  zard  sehre  the
jo  bhaa.ī  lauT  ke  aa.e  kabhī  na  dariyā  se
unhīñ  ke  baazū  qavī  the  badan  ikahre  the
usī  sabab  se  mirā  aks  TuuT  TuuT  gayā
us  aa.ine  meñ  ka.ī  aur  bhī  to  chehre  the
samundaroñ  kā  vo  pyāsā  thā  aur  os  thī  maiñ
vo  abr  lauT  gayā  jis  ke  lab  sunahre  the
in  āñchaloñ  pe  koī  sajda-rez  ho  na  sakā
ki  jin  ke  rañg  bahut  shoḳh  aur  gahre  the
samā.atoñ  ke  dhuñdlakoñ  meñ  kho  ga.e  'shabnam'
vo  saare  lafz  jo  palkoñ  pe  aa  ke  Thahre  the