ek  ik  kar  ke  sabhī  log  bichhaḌ  jaate  haiñ
dil  ke  jañgal  yūñhī  baste  haiñ  ujaḌ  jaate  haiñ
kaise  ḳhush-rañg  huuñ  ḳhush-zā.eqa  phal  huuñ  lekin
vaqt  par  chakkhe  nahīñ  jaa.eñ  to  saḌ  jaate  haiñ
apne  lafzoñ  ke  ta.assur  kā  zarā  dhyān  rahe
hākim-e-shahr  kabhī  log  bhī  uḌ  jaate  haiñ
ret  tārīḳh  ke  siine  meñ  haTāte  haiñ  vahī
aable  pyāsī  zabānoñ  meñ  jo  paḌ  jaate  haiñ
aise  kuchh  haath  bhī  hote  haiñ  ki  jin  ke  kañgan
toḌne  vaale  ke  ehsās  meñ  gaḌ  jaate  haiñ
'shabnam'  andāz-e-takallum  meñ  kashish  lāzim  hai
varna  alfāz  simaTte  haiñ  sikaḌ  jaate  haiñ