abr  chhāyā  thā  fazāoñ  meñ  tirī  bātoñ  kā
kitnā  dilkash  thā  vo  manzar  bharī  barsātoñ  kā
bujhtī  sham.oñ  ke  ta.affun  se  bachāne  tujh  ko
maiñ  ne  āñchal  meñ  sameTā  hai  dhuāñ  rātoñ  kā
koī  shahnā.ī  se  kah  do  zarā  ḳhāmosh  rahe
shor  achchhā  nahīñ  lagtā  mujhe  bārātoñ  kā
laakh  darvāze  hoñ  chup  aur  darīche  ḳhāmosh
chūḌiyāñ  raaz  ugaltī  haiñ  mulāqātoñ  kā
dhuup  bhī  tez  hai  'shabnam'  kā  bharosā  bhī  nahīñ
vaqt  bhī  baaqī  nahīñ  ab  to  munājātoñ  kā