ḳhud-farebī  hai  daġhā-bāzī  hai  ayyārī  hai
aaj  ke  daur  meñ  jiinā  bhī  adākārī  hai
tum  jo  pardes  se  aao  to  yaqīñ  aa  jaa.e
ab  ke  barsāt  ye  sunte  haiñ  baḌī  pyārī  hai
mere  āñgan  meñ  to  kāñTe  bhī  hare  ho  na  sake
us  kī  chhat  pe  to  mahaktī  huī  phulvārī  hai
chūḌiyāñ  kāñch  kī  qātil  na  kahīñ  ban  jaa.eñ
sehr-añgez  burī  un  kī  gulū-kārī  hai
kaash  bijlī  koī  chamke  koī  bādal  barse
aaj  kī  shaam  zamīnoñ  pe  bahut  bhārī  hai
khā  ga.ī  garmi-e-jazbāt  ko  rasmoñ  kī  havā
aaj  har  shaḳhs  faqat  barf  kī  almārī  hai
maiñ  bhī  rādhā  se  koī  kam  to  nahīñ  huuñ  'shabnam'
sāñvle  rañg  kā  merā  bhī  to  girdhārī  hai