Karamat Ali Karamat

wo sach ke chehre pe aisa naqab chhoD gaya

Karamat Ali Karamat

Cuttack, Odisha, India

1936

vo sach ke chehre pe aisā naqāb chhoḌ gayā

ruḳh-e-hayāt pe jaise azaab chhoḌ gayā

natīja koshish-e-paiham yuuñ huā ulTā

maiñ āsmān pe mauj-e-sarāb chhoḌ gayā

vo kaun thā jo mirī zindagī ke daftar se

hurūf le gayā ḳhālī kitāb chhoḌ gayā

bahār ban ke vo aayā gayā bhī shaan ke saath

ki zard pattoñ pe rañg-e-gulāb chhoḌ gayā

mire lahū meñ jo aayā thā mehmāñ ban kar

mirī ragoñ meñ vo ik āftāb chhoḌ gayā

gayā to saath vo letā gayā har ik naġhma

ḳhalā god meñ TuuTā rubāb chhoḌ gayā

milā na jazba-e-tashkīk ko libās koī

vo har savāl aisā javāb chhoḌ gayā

bikhertā hai 'karāmat' jo dard kirneñ

vo ḳhvāb zehn meñ ik māhtāb chhoḌ gayā

Top Urdushayar.com