Ata Husain Kaleem

nazren milin charagh jale raushni hui

Ata Husain Kaleem

nazreñ milīñ charāġh jale raushnī huī
lau de uThī phir apnī tabī.at bujhī huī
ḳhūn-e-jigar se nikhre ḳhad-o-ḳhāl-e-ārzū
dil ke lahū se shāḳh-e-tamannā harī huī
ab sub.h-e-nau-bahār kī kyā aarzū kareñ
ik shāḳh-e-āshiyāñ hai so vo bhī jalī huī
phir yaad aa ga.iiñ shab-e-hijrāñ kī talḳhiyāñ
dil ko kabhī ḳhushī jo ghaḌī-do-ghaḌī huī
bhaḌkā diyā use tire do din ke pyaar ne
ik umr se jo aag thī dil meñ dabī huī
dil hī to ek dair-o-haram kā charāġh thā
dil bujh gayā to phir na kahīñ raushnī huī
duniyā ba-juz tilism-e-nazar aur kuchh nahīñ
ḳhud ko diye fareb agar āgahī huī
vo chāñd-rāt terā bichhaḌnā nazar meñ hai
is ghar meñ tere ba.ad kahāñ raushnī huī
is ḳhud-fareb dil ne vo rusvā kiyā hameñ
ham apne ho sake na tirī bandagī huī
ābād jis se thiiñ mirī tanhā.iyāñ 'kalīm'
nazroñ meñ hai vo mahfil-e-yārāñ sajī huī
Top Urdushayar.com