zaḳhm-e-ulfat  ayaañ  nahīñ  hotā
aañkh  se  ḳhuuñ  ravāñ  nahīñ  hotā
husn  ko  sirf  vahm  hai  varna
ishq  to  bad-gumāñ  nahīñ  hotā
koī  manzil  bhalā  qadam  chūme
azm  jab  tak  javāñ  nahīñ  hotā
dekhiye  to  naqāb  ulaT  ke  zarā
chāñd  kab  tak  ayaañ  nahīñ  hotā
dekh  kar  ġham-zada  se  kuchh  chehre
dard-e-dil  kyuuñ  ayaañ  nahīñ  hotā
koh-o-sahrā  ho  dasht-e-aiman  ho
guzar  apnā  kahāñ  nahīñ  hotā
phuul  kaise  vahāñ  na  ḳhaar  lageñ
zikr  terā  jahāñ  nahīñ  hotā
maiñ  to  kyā  dil  bhī  merā  us  kā  hai
jo  kabhī  mehrbāñ  nahīñ  hotā
zor-e-tūfāñ  hai  duur  sāhil  hai
nāḳhudā  mehrbāñ  nahīñ  hotā
rāz-dāñ  kis  ko  kis  tarah  samjhūñ
rāz-e-dil  to  bayāñ  nahīñ  hotā
sheriyat  sher  meñ  ho  kaise  'nazīr'
zehn  jab  tak  ravāñ  nahīñ  hotā