vo  nahīñ  hai  to  zindagī  kaisī
is  añdhere  meñ  raushnī  kaisī
dil  kī  barbādiyoñ  ke  mātam  par
zer-e-lab  hai  tire  hañsī  kaisī
kaun  rah  rah  ke  yaad  aatā  hai
dil  meñ  rahtī  hai  bekalī  kaisī
soz-e-dil  ne  badan  jalā  Daalā
phir  mire  ruḳh  pe  tāzgī  kaisī
ham-safar  ho  ke  kārvāñ  lauTā
rahbarī  meñ  ye  rahzanī  kaisī
mujh  ko  ehsās-e-āsmāñ  na  rahā
chhāñv  zulfoñ  kī  thī  ghanī  kaisī
mujh  se  barbād-e-ishq  par  ai  dost
mahv-e-hairat  huuñ  barhamī  kaisī
rasm-e-duniyā  ajiib  hai  yaaro
ġham  hī  ġham  hai  yahāñ  ḳhushī  kaisī
dil  kī  duniyā  tabāh  kar  Daalī
ye  sharārat  ye  dil-lagī  kaisī
kis  kī  nazroñ  meñ  aa  gayā  maiñ  'nazīr'
mere  sheroñ  meñ  naġhmagī  kaisī