hijr  kī  shab  meñ  bayāñ  kis  se  maiñ  rūdād  karūñ
un  kā  parda  bhī  rakhūñ  apnī  bhī  fariyād  karūñ
āh-o-nāla  na  karūñ  aur  na  fariyād  karūñ
sochtā  huuñ  maiñ  unheñ  kis  tarah  ab  yaad  karūñ
mahfil-e-ġhair  meñ  vo  mujh  ko  mileñ  to  ai  dil
kis  tarah  zikr  tirā  ai  dil-e-nāshād  karūñ
mā-sivā  tere  nazar  meñ  koī  jachtā  hī  nahīñ
ḳhāna-e-dil  meñ  tujhe  kyuuñ  na  maiñ  ābād  karūñ
zaḳhm  hī  zaḳhm  mohabbat  haiñ  mire  dil  meñ  agar
sochtā  huuñ  ki  bayāñ  kaise  ye  rūdād  karūñ
dil  azal  hī  se  hai  maa.il  jo  hasīnoñ  kī  taraf
kyuuñ  mohabbat  ke  gharoñdoñ  ko  maiñ  barbād  karūñ
charḳh-e-be-mehr  se  kam  tū  bhī  nahīñ  hai  zālim
āshiyāñ  kaise  havāle  tire  sayyād  karūñ
kaisī  mushkil  sī  hai  mushkil  ye  na  pūchhūñ  mujh  se
kis  tarah  zehn-e-pareshāñ  ko  maiñ  āzād  karūñ
shab  kī  tanhā.ī  meñ  aksar  yahī  sochā  hai  'nazīr'
yaad  kar  kar  ke  tujhe  dil  ko  to  ab  shaad  karūñ